Sunday, January 23, 2011

Pakistan

Pakistan mein kia ho raha haiy.Hum awam kia bhugat rahay hain.es blog mein ye sab kuch hoga.
Jab bhi Pakistan per kara waqt aiy sab se pehlay ghareeb he madad ko aiya.Mein apko 1947 se ab tak ka safar biyan karoon tu del khon k anso roota haiy.Hamaaray Siyasatdan jo ab tak hum per Hakem Hain kab enho ne hamari madad ke.Jo bhi MPA MNA bana ab un ke nasal bhi wohi ban rahi haiy.Wo sab se ziyad ameer hain.un ke factriaan hain.un ke karkhanay hain.wo lambi lambi gario ke malik hain.unhi ke ezat haiy.unhi ka pakistan haiy.Hamaaray liay Police haiy army haiy aor un ke liay protocol haiy hamaaray liay law haiy to un ke liay estasna haiy.un per koi law fit he nahi hota.hum agar motarsycle chalain tu chalan.wo ain tu salam.hum agar kabhi islamabad jain tu security risk hain wo jain to jaga jaga protocol laitay jain. Ghareeb sarkari mulazim per case banay tu baychara gia mulazmat se agar un per banay tu Hamaray Sadar banain Hamaray Primminister banain ,wazeer banain, Kia hamara Pakistan yahi haiy.Hamari Army jang karay tu 9000 sipahi qaid ho jain.Wah pak army.laiken lal masjed per bam maray tu Fatah ke Nishaan banaiy.

Blochistan naraz,Sindh mein target killings,Punjab mein Police raj,Khaiber Pakhton kha mein Fooj ka Katl-e-Aam.Wah ray mera Pakistan









No comments:

Post a Comment