Saturday, January 22, 2011

Mera Pakistan

Pakistan mein basnay walay log boht achay hain.Musilman hun ya ghair muslim sab Pakistan se Mohabat kartay hain.Laiken jab awam mein se ghareeboo ke baat ke jaiy tu aik aor pakistan ka tassawor ata haiy.Sarkari logoo k  darjat hain grade 1 se grade 16 tak ka pakistan aor haiy.Grade 17 se 22 tak ka aor haiy.Esi tarah Mahekmoo ka haal haiy.
Jab Moashray mein atay hain tu ye Darjat aor numian ho jatay hain.Yahan per Pakistan serf Uper class ka haiy baki Sab un k  ghulam.Loog jo serf roozi rooti k chakar mein hain un ko es tarah uljha dia gia haiy k wo ab apnay baray mein ziada aor pakistan k baray mein tu sooch ati he nahi.Roz nia masla roz nai baat.
Akher Pakistan mein ho kia raha haiy.tamam siasi Partian apnay he ajenday per kam kar rahi hain aor en sab ka Mato Haiy "Luto Te Phuto".Aiy den mehgai aiy den sab cheezo k rat barh jatay hain .Logo ke Izat mehfoz nahi.
abhi tu serf start hiy agay ap ko mazeed text milay ga.wait for my next post Thanks of all friendz for visiting my blog .................................allah hafiz














No comments:

Post a Comment